Bacche ki aas liye kuch baithe hai ,
Darga yah mandir ke dwar par ,

Na soch ke suruwat ki hogi ,
Beti paneh ki aas par...

Sabko chahiye bas ek kul deepak ,
Jo badhae uske kul ka naam re.....

toh Betiyo ko bojh samajne ki baat ko ,
bhulna ab humari jimmedari hai ,

Dusro ko bhi sahi raste par laneh ki ,
ab humari Bari hai ,

Ish daughter day apni bacchiyo ko ,
Ghar ki Laxmi maan ,
Unhe barabari ka adhikar de.....
Unhe ladko se kaam samajhna chod de....
Woh jaisi bhi hai ,
unke guno aur awguno ko apna le....
Aur Shaan se beti paida honeh ko ,
Na shrap , Na abhishrap.......
Apne ghar ka vardaan maan le.......




International daughter day ki shubhkamnaye....

English Thought by Iffat fatma : 111897257

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now