The Download Link has been successfully sent to your Mobile Number. Please Download the App.
Continue log in with
By clicking Log In, you agree to Matrubharti "Terms of Use" and "Privacy Policy"
Verification
Download App
Get a link to download app
आज घर बहुत याद आ रहा है आज घर बहुत याद आ रहा है, बहुत ज़्यादा थक चुकी हूँ मैं। दिल करता है सब छोड़कर माँ-पापा के पास चली जाऊँ, पर ज़िंदगी ने नहीं— मैंने खुद अपने रास्तों पर ताले लगा दिए। खुशियों को टालते-टालते खुद को ही रोक लिया। सबका हाथ थामते-थामते अपना हाथ कब छूट गया, पता ही नहीं चला। सबके बारे में सोचते-सोचते खुद को कहीं बहुत पीछे छोड़ आई हूँ। हर रिश्ता बचाते-बचाते अपने ही टूटने की आवाज़ अनसुनी कर दी। माँ, आज मैं मज़बूत नहीं हूँ, बस खड़ी हूँ… गिरने की इजाज़त भी खुद को नहीं दी। खुश रहने के लिए नहीं, सिर्फ़ रिश्ते बचाने के लिए हर दिन खुद से समझौता करती रही। माँ, आ जा मेरे पास… मेरे बाल सँवार दे, आज मुझसे ये भी नहीं हो पा रहा। तेरी बेटी बहुत थक गई है माँ, अब खुद को संभालने की ताक़त भी टूटती जा रही है। मज़बूत बनने की आदत में रोने का हक़ खो दिया है मैंने। आज सच में मुझसे नहीं हो पा रहा माँ… बस एक बार गले लगा ले, शायद इस बिखरे हुए दिल को थोड़ा सा घर जैसा सुकून मिल जाए। 🌧️
Aaj ka subha kuch khaas hai Aaj ka subha kuch khaas hai, Suraj dheere-dheere utra hai jaise koi shor nahi karna chahta. Hawa mein thakan nahi, sirf ek halka sa sukoon ghula hai. Ghar ke kaam wahi hain, zimmedariyaan wahi, phir bhi dil ke kisi kone mein aaj bojh kam lag raha hai. Chai ki bhaap ke saath yaadein bhi uth rahi hain, kal ka dard, kal ki bhag-daud… sab thoda piche chhoot gaya hai. Aaj bina kisi wajah ke jeene ka mann hai, bina kisi shikayat ke, bina kisi ginti ke. Zindagi aaj koi sawaal nahi pooch rahi, na hi koi jawab maang rahi hai. Bas chupchaap saath chal rahi hai, jaise keh rahi ho— rukna mat, par ghabrana bhi mat. Aaj ka subha sach mein kuch khaas hai, kyunki aaj… dil zinda mehsoos kar raha hai.
Meri Baahon Ka Sukoon Jab woh mujhe apni badi-badi masoom aankhon se dekhta hai, toh lagta hai jaise poori duniya ki roshni usi ek nazar mein sama gayi ho। Us pal mujhe mehsoos hota hai ki mujhse zyada khoobsurat is duniya mein koi ho hi nahi sakta। Jab woh meri god mein simat kar sota hai, toh uski halki-si saans meri dhadkan ke saath mil kar meethi si lori ban jaati hai। Waqt jaise thahar jaata hai, aur zindagi sirf us ek pal mein poori ho jaati hai। Jab woh apni nanhi muskaan ke saath mujhse kuch kehne ki koshish karta hai, main shabdon ko samajh nahi paati, par uska har ehsaas seedha mere dil mein utar jaata hai। Jab woh mujhe chhodta nahi, kisi aur ke paas rehna nahi chahta, aur jab uski aankhon se aansoo girte hain— toh dil karta hai sab kaam chhod kar bas uske paas baith jaaun। Uske saath kheloon, usey baahon mein bhar loon, kabhi ghumaaun, kabhi sehlaaun, aur har pal usey mehsoos karaoon ki uski maa yahin hai। Mera pyara nanha-sa beta… kaise kahoon main tumse ki main tumse kitna pyaar karti hoon? Mere pyaar ko lafzon ki zarurat nahi, meri har saans, har dua sirf tumhare naam likhi hai। Dil chahata hai tum hamesha aise hi nanhe-se raho, kabhi bade na ho, kabhi meri god se neeche na utro। Bas mujhse hi chipak kar raho, meri baahon mein hi tumhari poori duniya basi rahe। Aur main… main tumhe yun hi pyaar karti rahoon, kabhi thakoon nahi, kabhi rukoon nahi। Tumhare maathe par pyaar bhare kiss, tumhare baalon mein meri ungliyan, aur har pal sirf yahi dua— khuda tumhe hamesha meri nazar se bachaye। Tumhari har muskaan mein meri poori zindagi saans leti hai। ( Kya har maa ka dil apne bachche ke liye aisa hi mehsoos karta hai? Kya aap bhi chahte hain ki aapka bachcha hamesha aise hi nanha rahe? )
Ek Aurat Ki Khamosh Taakat **Nanhe haathon ki muskaan meri taakat hai, Rishte ki zimmedari mere sir par. Dil chahta hai kuch naya kar loon, Apni khushi ko bhi saath le chaloon, Par kisi par bojh na banoon— Bas apni himmat ke saath aage badhti rahoon. Sapne sambhal ke rakhe hain maine, Roz thoda-thoda unhe jeeti hoon. Pair zameen par hain, par soch udne ko tayaar, Chhoti chhoti jeet mujhe udaan deti hai. Mujhe kisi ke aage haath nahi phailana, Bas apni mehnat se apni duniya banana hai. Aur khud se roz yahi kehti hoon— Har bandhan ke beech bhi Main apni raah dhoondh hi lungi.**
माँ और बच्चे का रिश्ता माँ एक बच्चे का रिश्ता ऐसा होता है, जो शब्दों से नहीं, साँसों से जुड़ा होता है। बच्चा रोए तो माँ का दिल काँप जाता है, दर्द उसका हो या न हो, आँसू माँ के आ जाते हैं। माँ खुद भूखी रह लेती है, पर बच्चे की थाली पूरी देखना चाहती है। अपनी नींद, अपने ख्वाब सब चुपचाप उसके नाम कर जाती है। बच्चा गिर जाए तो दुनिया हँस भी दे, माँ की गोद फिर भी सबसे सुरक्षित जगह बन जाती है। वो रिश्ता नहीं गिनता एहसान, न उम्र देखता है, न हालात। बच्चा चाहे बड़ा हो जाए, माँ के लिए वो हमेशा बच्चा ही रहता है। माँ और बच्चे का रिश्ता ईश्वर का सबसे खूबसूरत करिश्मा है— जहाँ बिना शर्त प्यार है, और बिना कहे समझ लेना ही सब कुछ है। 🌸
Copyright © 2026, Matrubharti Technologies Pvt. Ltd. All Rights Reserved.
Please enable javascript on your browser