Quotes by Akshay Tiwari in Bitesapp read free

Akshay Tiwari

Akshay Tiwari Matrubharti Verified

@akshaytiwari128491
(53.2k)

Pyar hai to jataya kar....

Pyar hai to jataya kar,
Ehsaas hai to bataya kar.
Mana ki mohabbat beintehaa hai,
Kabhi to lafzon mein sunaya kar.

Khamoshiyon se sab samajh lu,
Itna bhi na aazmaya kar.
Kabhi meri aankhon mein dekh kar,
Apni dhadkan ka haal bataya kar.

Har baar main hi keh doon,
Ye riwaaz na banaya kar.
Kabhi tu bhi "yaad aate ho" kehkar,
Mere chehre pe muskaan laya kar.

Narazgi bhi apni haq se kar,
Magar yu door na jaya kar.
Ruthna agar zaroori lage,
To khud hi aakar manaya kar.

Mohabbat sirf mehsoos hi nahi,
Kabhi alfaazon mein sajaya kar.
Pyar hai to jataya kar,
Ehsaas hai to bataya kar.

Read More

मैं आज भी उसी मोड़ पर खड़ा हूँ,
जहाँ तूने कहा था "फिर मिलेंगे",