kuchh na kuchh likhte rahna hi dimag ko fresh rakhta hai .

Aap BMW chadho ya Maruti raasta wohi rahega, aap Rolex watch pahno ya Titan waqt wohi rahega...

-Sangita

Jab hona wohi hai jo woh chahta hai to hamare chinta karne se kya faida...

-Sangita

waqt ko bhi thoda waqt lagta hai badal ne main....

-Sangita

parmaatma ke tasvir lagao apne mann ke kaksh main
phir saare faisle hongey aap ke paksh main...

-Sangita

safalta kismat main hai ya nahin ye alag baat hai
likin hum kaushish na kare ye galat baat hai....

-Sangita

Eak waqt ke baad dard se hi gehra rista ho jaata hai...

-Sangita

ye samasya hamaisa khadi huee kyoun rahti hai? usko koi beth ne keliye kursi nahin deta kya 🤣🤣

-Sangita

kuchh logon ko bohot jaldi pata lagjata hai ke unko life main kya karna hai..
aur kuchh logon ko kabhi pata nahin chalpata ke karna kya hai... yehi safalta ka maap dand hai bas...

-Sangita

Hindi aur urdu main antar hai itna
woh khwab dekhte hain hum dekhte hain sapna

-Sangita

Agar aap ke pass paisa hai to how are you, paisa nahin to who are you...

-Sangita