*_`German kahawat hai ke karwi goliyan chabani nahin, balkeh nigal leni chahiye.`_*
*_Yani zindagi ki karwi baton ko dil o dimagh mein baar baar na dohraya karein, balkeh unhein qabool karke aagay barh jayein. Agar aap un baton ko hamesha yaad karte, sochte aur un par hi rukay rahenge, to un ki karwahat aap ki puri zindagi mein ghul jayegi. Sukoon isi mein hai ke jo guzar gaya usay God par chhor kar achi soch ke saath aagay barha jaye. ☺️👐_*
Priyanshu Sharma