Log kehte hain, nahi hai tu hosh mein aajkal,
Haan dost, sach hi kehte hain.
Mujhpe toh chhaya hai uski nigahon ka nasha.
Log kehte hain, rehta hai tu khoya-khoya aajkal,
Haan dost, galat nahi kehte.
Maine to khudko paaya hai uski yaadon ke jharokhon mein.
Haan dost, kya jaanoge haal tum mera,
Mera toh ab rishta hai bekhudi se.
- Soumyaa Sharrma