English Quote in Poem by naveennitwal

Poem quotes are very popular on BitesApp with millions of authors writing small inspirational quotes in English daily and inspiring the readers, you can start writing today and fulfill your life of becoming the quotes writer or poem writer.

POEM - MERE DESH KE LIYE MERA PAHLA VOTE

Main 18 ka ho chuka hun Chunav ka samay chal raha hai Soch Raha Hun kise vote dun

Apni vote ki kya kimat lagaun Chalo 1000 hajar bol deta hun Suna hai pichhali bar Ek vote ki kimat 3 se 4000 pahunch Gai thi Aisa karta hun ? Ki Main Thoda intezar kar leta Hun Kya pata 4000 mil jaaye

Mere pados ke bhai ko Ek peti sharab Mili Hai Or kuchh Dinon Se vo roj Chunav prachar mein bhi Lage Hain Roj hajar 1000 rupaye milte Hain Jo unki majduri se bhi adhik hai

(1000 rupe or ek botal sharab ke liye Use Neta ko vo 5 sal jhelane ke liye taiyar hai)

Ek Neta Jo Paisa Pani ki tarah Baha Raha Hai

Kya yah Paisa uska hai Nahin bhai Yah Mera Paisa hai aur aapka bhi Jo yah humse Hi loot kar Humko hi de raha hai

Main 18 ka ho chuka hun chunav ka samay chal raha hai soch Raha Hun kise vote dun apni vote ki kya kimat lagao yah Mera pahla vote hai

to chalo hajar 1000 bol deta hun

Poet
Naveen

English Poem by naveennitwal : 111985787
New bites

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now