Wo itna zaalim tha ki usne
Peeche mud kar bhi na dekha.
Main wahi khadi thi, hath badhaye
Ankhon mein intezaar liye,
Hamare sunehre kal ke sapne sajaye...
Magar wo beparwah sa
Bas aage badhta chala gaya,
Aur Main...
Main bas wahi reh gayi
Un toote sapno ke sath
Bikhri si...
- Soumyaa Sharrma