Log kehte hain, ladki hai, kya hi kar payegi,
Khud ko sambhalna nahi aata, kya hi ukhaad payegi.
Paisa kaise kamaya jaata hai, kya hi jaan payegi,
Ladki hai, kamzor hai — kuch bhi na kar payegi.
Lekin wahi ladki hai jo sab kuch kar jaati hai,
Thak kar bhi har bojh muskurakar uthati hai.
Khud ko sambhalti hai, khud ko bachati hai,
Akele hi apni zindagi bhi jee jaati hai.
Kai kaam hain jo ladke bhi na kar paate,
Par ladkiyaan unhe chutki mein nibha jaate.
Aurat wo taakat hai jo akeli hi sab kar jaaye,
Har mushkil mein khud apna raasta banaye.
Aur sach to yeh hai —
Mard ke jeevan mein agar aurat na ho saath,
To ek pyali chai bhi ban jaaye unke liye ek bada sawaal.