Tera kuch na kehna,
Mujhe besabra kar gya..
Tera yun aankhein pherna,
Mujhe bechain kar gaya.
Tera hona hi mere wajood ka
ehsaas tha,
Tera yun bichhad jaana,mujhe tanhaai ki khaai mein dhakel gaya.
Haath badhaye,main wahi khada raha,
Tu beparwah sa aage badh gaya.
Ashq beh gaye mere,
Saansen tham gayi meri,
Tera ye aashiq tere ateet ke pannon mein simat ke reh gaya...
- Soumyaa Sharrma
-