Meri ye khwahisho'n ka asar hai
Tu jo Meri hayat-e-safar hai ....

Saath chalna hai hmein
har-gum,har-ghadi,
Maana kuchh mushkilein aayeingi
ye jo door ka safar hai ,

Jo thi tamannayein ,
thi jo kuchh aarzooyein ,
Ab baaki nahi hai kuch ab,
ye Dil bhi mera be-fikr hai ,

Shama Roshan ho jati hai ,
Fiza mein khushboo ke rang ghul se jaate hain,
Shaam dhaley jo hota tere jab zikr hai ..

English Whatsapp-Status by Zulqar-Nain Haider Ali Khan : 111190751

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now