Mein Aapka Apna Irffan Hun,
Badey Sapne Dekhnewale Har Chhote Kalakar Ke Hauslon Ki Udan Hun,
Mein Aapka Apna Irffan Hun,

Mujhme Agar Tum Dekhte Ho Apni Parchhai,
Meri Kala Me Jo Tumhe Najar Aati Hai Sachhai,
To Me Tumhara Abhiman Hun,
Mein Aapka Apna Irffan Hun,

Aaj Apni Bebas Aankho Mein Aapke Pyar Aur Apnepan Ka Lekar Ja Raha Ehsaan Hun,
Mein Aapka Apna Irffan Hun,

Maana Jindgi Bahut Chhoti Thi Meri Par Mein Kabhi Na Mitneywala Woh Neela Aasman Hun,
Mein Aapka Apna Irffan Hun,

Chahta Tha Kuchh Saal Aur Jee Lun,
Kuchh Aur Achhi Filmey Aapko Dekar Jaun,
Par Kya Karun,
Khuda Ke Aagey Bebas Aap Sab Ki Tarah Mein Bhi Ek Insaan Hun,
Alwida Doston,
Mein Aapka Apna Irffan Hun,

Mere Janey Ke Baad Jab Kabhi,
Tum Meri Kisi Film Ko Dekhongey,
To Tumhare Chehre Par Jo Aayegi,
Mein Wo Halki Si Ek Muskaan Hun,
Dua Mein Yaad Rakhna Hindustan,
Mein Aapka Apna Irffan Hun....

#RIPIrffansir

- Anonymous

Hindi Poem by RaviKumar Aghera : 111415415

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now