Is duniya se jane ke baad kya hoga aaj achanak ye khayal a gaya,mere baad jo peeche log chutt jayenge mere, vo kab tk mujhe yaad karenge, sochte sochte ye sawal aya, kya jaisa log khete hai waise hi hota hai ek maut ka farista ata hai aur badan se ruh kich lete hai, mere baad mere saman ka kya hoga,mere saath hi jala diye jayenge kya, ya nishani ki tor pe alag alag jagah baat diye jayenge kya, kon kon sach me royega mere liye,kaun bs afsos jata ke chala jayega,kaun kaun mjhe sach me yaad rakhenge, ya phone no. Delete kr diya jayega,meri kaun si baat meri kaun si adatein sabse zyada yaad ayengi,mere akhri shabd kya honge, mein ghabraya hua hunga, ya mushkura raha hunga jab maut mjhe lene ayegi,kisi ko koi baat kehni hogi aur vo adhuri reh jayegi, ya mein hi khud kehna chahu kisi se usse phele hi sab khatam ho jayega,jo mjhe abhi dekhna bhi psnd nhi karte kya vo bhi kahenge ke admi to acha tha, mere phone ko khol ke mjhe janne ki kosis karenge ya mere saath hi jala denge,mere chale jane ke baad mere apne bhi mjhse darne lagenge kya, mere samano ko kisi ko chune nhi deta, vo baad me use aise hi rakhenge kya, jo mere khaas hai shayad mere bare me sochte sochte to denge, kya tabhi mere liye khane ka plate jayenge, jinse jhagra hai mjhe aur baat nhi hoti unhe bhi aisa lagega kya baat kar leni chahiye thi, jinho mere diye hue cheeze kho di thi unhe lagega kya kuch cheeze sambhal ke rakh leni chahiye thi, zindagi ka sabse bara sach maut hi to hai phir hum darr darr ke q jite hai, mein kisi se koi bair nhi rakhna chahta khusi khusi jana chahta hu yaha se, zindagi ko khubsurat bana ke maut bhi khubsurat chahta hu janha se..